maksad
Mumbai…
Mumbai shaher humare sapno ka shaher hai har roz koi na koi ias shaher mein apni zidagi ko jeetne ke liye aata hai. Aur har roz koi na koi kuch haar kar chala jaata hai par uas haar mein bhi koi na koi sik chupi hoti hai jis ka istemaal wo insan apni aaney wali zindagi mein khud karta hai aur apni aane waali zindagi ko behtar banata hai…
Aisa hi ek ladka jiss ka naam haadi hai Mumbai ki sadko par paida hone wale bacho mein se ek jiss ke paida hote hi uase sadak par chod diya gaya aur uase ek har roz mazduri kar ke pet palne wale shakhs ne footpath se uthaya aur pala. Uas mazdur ke marne par haadi ki ummar 8 saal thi par uas mazdur ki biwi ne haadi ko ghar se nikal diya bebas besahara haadi fir 18 saal ki ummar tak red-light area mein dalalo ke saath uan ka chota mota kaam kar ke apna pet palta raha. Zindagi mein koi maksad nahin bas haadi zinda reh raha tha bhuk lagti tho khana khata nind aati tho sojata tha par ek din haadi ko kuch nazar aaya zindagi mein maksad dikhne laga paise wala insan banne ka …
Par kaise haadi jaise ladke apni zindagi ko kitni uchai par lejaa saktey hain… par haadi ne wo kar dikhaya apna maksad pura kiya aur apni zindagi ko jeet liya……………
haadi ki zindagi ki shurwat......
haadi ki zindagi ki shurwat......
Kahani kaa agla mod aata hai jab haadi ko ghar se uas ki step mom nikal deti hai. Haadi ke paas na ab rehne ka thikana nai khane ke liye khana nai aur tho aur pehenne ke liye kapde bhi nahi. 8 saal ki ummar mein haadi ko ghar se nikala gaya hai uas ke paas kuch bhi chiz nai hai uase asal mein ye bhi nai pata hai ki ye duniya kyu banai gayi hai ye itne log jo har roz bhagam bhag kar rahe hai wo kis chiz ke liye kar rahe hai. 4 din guzar jaatey hai haadi ne kuch khaya nai hai haadi ek aadmi ke paas jata hai aur kehta hai ki sahab bhuk lagi hai khana khilao na. tho wo aadmi kehta hai kaam kar bacche bhik mat maang warna zindagi aise hi guzar jayegi. Aur wo banda haadi ko kuch paise de deta hai aur chala jata hai. Wo pura din haadi thode thode paise jama kar ke khana kha leta hai. Par uase khana khatey wakt acha feel nai hota bas apni bhuk mita deta hai aur raat bhar footpath par leat kar ye sochta rehta hai ki kaam kar yani kya. Aur haadi ye tai kar leta hai ki kal se wo bhik nai mangeyga kaam karega chahe koi bhi kaam par kaam karega aur pet paalega. ( ye tha haadi ka pehla maksad ) agley din haadi ke paas jo kuch paise bache hotey hain wo ek bhudi aurat ko de kar chala jaata hai kaam dhundne ke liye aur haadi kaam dhundte dhundte Mumbai ke kamatipura area mein chala jaata hai aur wahan par sab dekh kar dang reh jata hai ki ye kaise log hai………